Ankhon ko bhi le dooba ye
Dil ka pagal-pan,
Aate jate jo milta hai tum sa lagta hai.
Tere sang sang chalna hai
In kaanto bhari raahon mai,
Sari zindagi bitaani hai
Teri pyar bhari baahon mai
Kuch to socha hoga kaynaat
Ne tere-mere rishte par,
Warna itni badee duniya mein
Tujhse hee baat kyon hoti
Naseeb se jyaada bharosa
Tum par kiya, phir bhi naseeb
Itna nahi badla jitana tum
Badal gye.
Jab bhi teri yaad aati hai tab
Mai apne dil pe haath rakhta hun,
Kunki mujhe pata hai tu kahin
Nahi miley toh yahan jarur milegi
Tere sath rehne ko dil karta
Hai phir bhi tu door hai,
Tujhse baat karne ko dil karta
Hai phir bhi hum majboor hai.
Maine bhi badal diye
Hain zindagi ke usool,
Ab jo yaad karega, sirf
Wahi yaad rahega
Saanson ke silsile ko na do zindagi ka naam,
Jeene ke ba-wajood bhi
Mar jaate hai kuch log
Karni hai khuda se duaa ki teri
Mohabbat ke siva kuch na mile,
Zindagi me tu mile sirf tu
Ya phir zindagi na mile
Maine apni khwaishon ko
Dewar mai chunwa diya,
Khama-kha zindagi main
Anarkali banke nach rahi thi.
No comments:
Post your Shayri and Quotes