Saare Jaha se acha, Hindustan hamara, Hum bulbule hai iski, ye gulsita hamara..
Hak milta nahi liya jata hai, azadi milti nhi chini jati hai, naman un desh premiyo ko jo desh ki azadi ki jung k liye jaane jaate hai.
Chalo fir se khud ko jagaate hai, anushashan ka danda fir se ghumaate hai, sunhera rang hai gantantr ka shaido k laho se, ese shaido k0 hum sab sir jhukaate hai.
Watan hamara misaal hai, mohabat ki todta hai diwar nafrat ki meri khush nasibi hai mili jindagi is chaman me, bhul na sake koi iski khushbu saato janamo me.
de salami is tirange ko jisse teri shaan hai, sir hamesha uncha rakhna iska jab tak dil me jaan hai.
Me bharat baras ki hardam amit smaan krta hu, yaha ki chandani mitti ka gungaan krta hu, mujhe chinta nahi hai swarg jakar moksh paane ki, tiranga ho kafan mera, bas yhi armaan rkhta hu.
chad gye jo hanskar suli, khayi jinhone sine pr goli, hum unko pranam karte hai, jo mit gye desh par, hum unko salam karte hai.
Ye baat hawao ko btaye rakhna, roshani hogi chirago ko jalaye rakhna, lahoo de kr jiski hifazat ki.. ese tiraange ko sada dil me basaye rakhna.
Aao desh ka samaam kare, sahido ki sahadat yaad kare, ek baar fir se rashtra ki kamaan hum hindustani apne haath dhare.. aao swatantrta divas ka naam kare.
Azadi ki kabhi sham na hone denge, shaido ki kurbani badnaam na hone denge, bachi hai jo ek boond bhi lahoo ki tab tak bharat ma ka anchal nilaam na hone denge.
More
No comments:
Post your Shayri and Quotes