Like Us On Facebook

Get All The Latest Stories, Shayri etc,. Delivered Straight Into Your Inbox

Monday, 25 July 2016

Intezar - The Love Story (Part-6)



Izna ki masi ke ladke ki shadin thi to Izna Ansh ke city tak travel kar rahi thi to uske papa ne use Ansh se baat karte pakad liya raat ko… Izna ka phone le lia… or papa gussa hue bahut.. achanak Izna ke chale jane se Ansh bhi pareshan ho gaya or gusse mein aagaya..

Jab Izna masi ke ghar pahunchi to usne mumy se bahut request kar ke phone wapas liya or Ansh ko sara sab kuch bataya…

Ansh – Kya hai kahan chali gai thi tu… ??

Izna – Babu bahut problem ho gayi hai kya karu… papa ne apse baat karte dekh lia yrr ab kya hoga..

Ansh – Milne nahi aa paegi..

Izna – Babu main dekhti hu kya ho sakta hai..

Ansh ka mood kharab ho jata hai... Izna apni mumy se bahut request karti hai ke apni friend ke ghar jana hai… kafi koshish ke bad mumy man jati hai or Papa use uski friend Shivani ke ghar chhor aate hain… or Shivani ki badi behn se keh dete hain ke wo dhyan rakhe Izna ko kahin bahar na jane de…

Izna dukhi ho jati hai… to bhi wo Ansh ko milne bulati hai or Shivani ki di ke sone ke bad wo bahar usse milne chali jati hai… Ansh ka dimag bahut kharab ho jata hai ke itni durr aayi or 30 minutes ke lie bula rahi hai milne… fir bhi Ansh jata hai ye soch kar k kam se kam dekh hi lega… dono milte hain..

Izna – Babu meri jaan… (jate hi uske face par kiss karti hai.) Babu i love you

Ansh – Chal le babu mere sath please… ek ghanta nikal le mere lie…

Izna – Babu ho sakta to chalti par agar di jag gai to problem ho jaegi.

Ansh – Di se main bat kar lunga unhonekabhi kisi pyar kia hoga… babu please chal na..

Izna – Babu papa ma bhi aa sakte hain main ghar par nahi mili to problem ho jaegi… you know na i love uh kitna..

Ansh ( gusse mein) – Ek ghanta nahi nikal sakti hai mere lie or kehti hai pyar karti hai…

Izna – Babu aap pyar nahi karte

Ansh – Nahi karta..

Izna – Mar jau main..??

Ansh chup ho jata hai..

Ansh – Bike pe baith

Izna – nahi na babu..

Ansh – Baith na yahin ghumaunga yahan khada rehna thik nahi hai…

Izna baith jati hai or Ansh gusse mein aa kar bahut fast drive karne lagta hai Izna darr jati hai.. or use samjhane lagti hai… Ansh achanak bike rok deta hai…

Izna – Itna gussa aara hai…

Ansh kuch kehta itne me Shivani ka phone aajata hai ke Izna ke papa ma ghar aagae hain… or problem ho jati hai… Shivani kisi tarah sambhal rahi hoti hai ke badi behen sab bata deti hai…

Izna – Main jaa rahi hu babu.. i love you

Ansh – Haaa ja…

Izna jane lagti hai…

Ansh – Sun..

Izna (mudkar) – haan

Ansh – Main chhor du…??

Izna bhag ke aati hai or Ansh use chhor deta hai… Iske bad Izna ke ma papa use ghar le jate hain.. Papa bahut gusse mein hote hain… mumy bhi gussa hoti hain.. ghar pahunch kar..

Papa – Kon hai wo..??

Izna – Papa friend hai…

Papa – To mana kia tha na jane ko bahar to kyu gai… meri baat se zada zaruri hai wo..?

Izna (rote hue) – Papa sorry

Papa – Tu decide kar le ya to main ya wo…

Izna chup ho ke bhag jatu hai room mein… or bahut roti hai… Wo sham ko Ansh ko batane ke lie phone karti hai par Ansh bahut gusse mein hota hai… fir bhi baat hone par wo sab bata deti hai…

Izna – Babu papa ne daanta bahut gussa kia… maa bhi baat nahi kar rahi…

Ansh – kya kaha papa ne..??

Izna – Bole ke ya to wo ya aap.

Ansh – To tune kya kaha…

Izna – main chup rahi..

Ansh – Tu mujhe chhor de

Izna – Babu pagal ho nahi reh sakti main aapke bina…i love you.. ap nahi samjhoge babu par main apse sach mein bahut pyar karti hu..

Sab sort out hua… or Izna shadi ke bad fir se chali gai… pr Ansh ka intezar fir se shuru hua…

e="font-size: large;">
Intrested in this story click here and Enter your Email to get Notifications of all New stories...


Previous Part      Next Part

Join Us On Facebook
Join Our Newsletter